

KUCH KHAYAL DIL KE
Hamne halothon se kaha jhoot bol do thoda
Aisa na ho sach sunkar arman bikhar jayein
khusi ki darkar nahi jeeevan bhar hamko
kuch aiso ho kuch pal hi dil bhell jaye
hamne ansun se kaha khamoosh raho tum
aisa na ho unka dil hamare dard se pighal jaye
milne ki koi aas to ab rahi hi nahi
bewajah ek aur fasana ban jaye
​
Barso tadpa hun unki chat mein main
Ek pal bhi merri rooh ko rahat hi nahin
Unki yadein hi jindagi ka sabab hai mere
warna is dil ko dhadkane ki chat hi nahin
​
Barson yeh gilah kismat se apni tha hamko
na jane wo kun itni roothi hai
jin adaon ehsas pe sad ke jate the
aaj jana wo adayen sabhi jhooti hai
Ek Jamana tha nazaren jajbat bayan karte the
Aaj to bheti ankhon per bhi bahrosa hi nahin
Ye na samjho ankho dekhi hai to sach hi hoga
Tumne dekha hai ya kisi ne tumhe dikahay to nahin
Is daur mein jaha sach bhi kalpanik hai ( vitual reality)
Kalpnao mein sach dhundte hai sabhi
kiska bharosa karein ki kaun yaha sacha hai
pata to tab chae jab sare mukhote wo utarein to kabhi
gam nahin ki wajah ham the ki ansoon unki ankho se bahe
gam to yea hai ki un ankhon mein bhi sachai na thi
kun bhawna bas ab ek khilona matr reh gayi hai
Is sach se dil ko thes lagi hai badi
​
​
aaj maa teri bhaut yaad a rahi mujhoko
teri palu mein sare dukh mein apne bhul jata tha
tera saya jab talk sar pe tha mere
kabhi khud ko na mein itna majboor na itna tanha pata tha
kun chod gayi mujhko is jamane mein yun akele
lejati apne sath to tera kya jata tha
wo bite din to bas ab ek yad se hi hain
Jab bin baat bhi din bhar mein muskarat tha
​​
chup hun ki tum narax na ho jao kahin
kunki mujhko bate banana nahin ata
mein ek insan hun koi kirdar nahin
bin baat muskarana nahin ata
aina hun mein koi tasveer nahin
mujhe jajbat chupana nahi ata
​
adatan puch hi betha apne katil se mein
meir maut ka kya tujhko koi gilah nahi
hasrat abhi baki hai gar mujhko mitane ki
khanzar abhi wahin hai kuch ghaw aur kar le
​
​
​
apni niyat mehnat per aitabar hai mujhe
arju nahin ki koi gaur bhi kare
nazare hain unhi ki nazariya bhi unhi ka
acha kahein bura kahen ya tareef wo karein
kuon talim nahi di mujhe jajbat chupane ki
jab mujhko ye hunar bachapan se hi na at tha
lad gaye wo jamane jab sachaiye jiti thi
jo dusaron ko jo deta tha wahi pata tha
​
mar gayi insamiyat sab jajbat mar gaye
jo dil se socha karte the vayharik ho gaye
kiske pas waqt hai jabaton ke liye
jo kal thak insan the sikari ho gaye
lagta tha khub kamaya tujshe door rehkar
jindagi ki doaud mein junwari ho gaye
tu chod kar kya gayi humko yun akela
kal thak to shensha the bhikhari ho gaye
​
​
​
​
is jindagi ke teen ayam hain
ek shurwat hai safar hai aur anjam hai
dekho to kahin subaha hui hai abhi, kahin jindagi ki hansi sham hai
tu jo door hai to jaise koi khusi hi nahin, sang hai to jindagi ek hansi jam hai
kun intezar karun manzilon ka mein ,jab safar tere sang ek arman hai
milon ka fasal bhi abb najdikyan lage, tujhe yad karna hi bas mera kaam hai
koi pagal koi premi koi kuch bhi kahe , diwangi shayad isika naam hai
​
​
​Apni niyat mehnat per aitabar hai mujhe
arazoo nahin k i koi gaur bhi kare
nazare hain unhi ki nazariya bhi unhi ka
acha kahen bura kahen ya tarif wo karein
​
chup hun ki kahin ruswa na ho jao tum
mujhko batein banana nahin ata
insan hun mein koi kirdar nahin
bin bat muskarana nahi ata
aina hun mein koi tasveer nahin
mujhe jajbaat chupana nahin ata
​
adatan puch he betha apne katil se mein
meri maut ka kya tujhko koi gilah nahin
hasarat abhi baki hai agar mujhko mitane ki
khanzar ab bhi wahin hai kuch ghav aur karle
​
​
​
​


